How To simply Remove Shortcut Virus From flash drive or memory card

How To simply Remove Shortcut Virus From flash drive or memory card


Why The Sky is Blue - ???? ???? ????? ??? ?


Aksar Hamne Deka Hai Ki Bache Bado Se Puchte Hain Ki, Ye Sky Blue Kyun Hota Hai? Aj Es Topic Par He Hum Yaha Bat Karenge. Ki Sky Hame Blue Kyun Dikhayi Deta Hai ?

Agar Hum Antriksh Maine Jakar Dekthe Hain To Sky Hame Blue Nahi Dikhayi Deta. Wo Esliye Ki Antriksh Main Koi Colour Hai He Nahi. Esilye Wo Dark Black Najar Ayega, But Jab Hum Dharti Se Sky Ko Dekhte Hain To Wo Hame Blue He Kyun Najar Ata Hai?

Es Rehsya Ka Relation Prithvi Se Hai. Prithvi Anek Gaso Ke Mishran Se Ghira Hua Hai Ye To Ap Achi Tarah Jante Hain. In Gaso Ke Elawa Vayumandal Mai Dhul Ke Kan, Parag Kan, Or Dusre Barik Padarth Bhi Hote Hain. Gas To Khud Anuyon Se Bani Hoti Hai. Jo Ki Bilkul He Barik Kan Hote Hain. Jab Suraj Ki Roshni Hamare Vayumandal Main Pravesh Karti Hai. To Wo En Kirno Se Takrati Hai. Vastav Main Suraj Se Ane Wali Roshni Anek Tarango Se Bani Hoti Hai. Or Enmse Se Hamari Eyes 7 Tarango Ko Dekh Sakti Hai. Or Inka Colour Bhi Alag Alga Hota Hai. Jaise Ki Begani Colour, Asamani Colour, Nila, Hara, Pila, Narangi Or Laal. En Tarango Mai Se Har Ek Ka Tarang Dherya Bhi Hota Hai. Jaha Begani Ka Tarang � Dherya Sabse He Chota Hota Hai. Or Laal Ka Sabse Adhik.

Jab Prakash Ki Kan Se Takrata Hai, To Ya To Wo Kan Ke Aar Paar Ho Jata Hai, Athwa Uske Dwara Parivartit Ya Fela Diya Jata Hai. 19vi Sadi Mai Hue Scientist John Tyndall Ne Dikhya Ki Prakash Ka Kano Ke Aar Paar Ya Unke Dwara Pravartit Ya Fela Diya Jane Wala Prakash Ke Tarang Dherya Par Depend Karta Hai. Drishya Ke Ansho Main Se Neela Sabse Jada Bikhar Jata Hai. Jabki Laal Prakash Sase He Kam Hai.

Esliye Surya Prakash Ka Laal Ansh To Bina Fele He Prithvi Tak Pahunch Jata Hai. But Neela Prakash Hawa Main Mojud Gas Anuyon. Dhul Ke Kan, Prag Adi Se Bikher Diya Jata Hai, Or Kafi Der Tak Hawa Main He Bana Rehta Hai. Es Feli Huyi Nili Roshni Ke Karan He Sky Hame Blue Dikhta Hai.

Usha Kaal Main Sky Main Gulaal Kyun Ghulta Hai? Yani Ki Sunrise Or Sunset Ke Time Sky Hame Laal Kyun Dikhta Hai? Hote Ye Hai Ki. Sunrise Or Sunset Ke Time Prakash Hamari Ankhon Tak Hawa Main Lambi Duri Se Hota Hua Ata Hai. Es Long Journy Main Uska Neela Rang To Bikher Diya Jata Hai. Jabki Laal Ansh Age Ki Or Badhta Rehta Hai. Esliye Hamari Eyes Ko Asman Red Dikhaye Deta Hai.

Apko Ye Bhi Maloom Hoga Ki, Khatre Ka Sanket Dene Wali Laal Batti Ka Use Kyun Kiya Jata Hai? Ye Bhi Tyndall Prabhav Par He Adharit Hai. Red Light Hawa Main Mojud Kankiya Samagri Dwara Sabse Kam Biheri Jati Hai. Esliye Dhul, Dhund, Bairsh Main Bhi Red Light Ki Roshni Asasni Se Dekhi Ja Sakti Hai. Or Logo Ko Khatre Ki Suchna Milti Rehti Hai.

A post From Most-Sage | Visit Here

download file now